Tuesday 4 March 2014

KHABON KI MEHBUBA.......

Kash zindagi ki bujhi shama roshan  ho jaye
Koi pyar karne wali mayassar ho jaye
Paate hi jise mein bhul jaun sab kuch
Koi aisa ehsas mere dil mein bas jaye......

Noor hoga jiska kisi hoor ke jaisa
Jise dekhte hi sara sama tham jaye
Aahat se jiski patte jhadne lage
Choote hi jisko madhoshi ho jaye......

Lehrate hue zulfe jab wo nazre uthaye
Khilte hue phool bhi sharam se murjha jaye
Sharmate hue jab wo nazre jhukaye
Use dekhte hi bhavra apna rasta bhool jaye.....

Gulab jese honthon se jab wo muskuraye
Uski muskan se qaynat ka waqtt tham jaye
Jab kare wo ishara hilate hue apni unglio ko
To udta parinda  bhi aasma mein ruk jaye..........

Balkhate hue kamar ko jab wo rakhe kadam
Jhankaye apni pazeb ko cham cham cham
Jiski chal par  hi "aasim" diwana ho jaye
Kash koi aisi ladki meri humrahi ban jaye............


No comments:

Post a Comment